Tum Iss Udaas Raat Se Niklo

 

Tumhari Aankhein Kehti Hain Hisaar-E-Zaat Se Niklo,
Tammana Meri Ban Jaao, Shab-E-Barbaad Se Niklo,

Kinara Thaam Lo Dil Ka, Bhula Do Sab Gile-Shikwe,
Kabhi Sacchi Hansi Hans Do, Puraani Yaad Se Niklo,

Khyaal-E-Yaar Accha Hai Magar Jisne Wafa Na Ki,
Palat Kar Phir Sada Na Do, Dar-E-Fariyaad Se Niklo,

Aaj Ki Raat Ka Pehlu Achaanak Hum Se Kehta Hai,
Saja Lo Aankh Mein Sapne, Udaas Raat Se Niklo,

Nahi Tum Ko Ganwara Ab Humara Qarb To Keh Do,
Humare Qarb Ki Chhodo Tum Iss Azaab Se Niklo.

Mujhe Ab Ye Baat Maanni Hogi

Posted: 18 Mar 2014 09:15 PM PDT

Gair Ki Hai Meri Nahi Ab Ye Baat Maanni Hogi,
Kisi Aur Sej Ka Phool Hai, Ye Baat Jaanni Hogi,

Kabhi Hoti Thi Har Subha Mere Naam Se Teri,
Ab To Zindagi Teri Yaad Mein Bas Guzaarni Hogi,

Sath Chhodegi Na Marte Dum Tak Kaha Tha Kabhi,
Hayaat-E-Safar Mein Akele Hi Khaak Chhanni Hogi,

Mere Bin Teri Zindagi Kuchh Bhi Nahi Hai Sanam,
Kabhi Na Kabhi Tujhe Bhi Ye Baat Maanni Hogi,

Ravi” Roshan Hain Teri Salamati Ki Dua Khaatir,
Abaad Rahe Tu Chanda Mehfooj Teri Chandani Hogi.

JANTE HO PHIR BHI””””

Jante Ho Phir Bhi Anjaan Bante Ho,
Is Tarha Humein Pareshaan Karte Ho,

Puchte Ho Tumhe Kya Pasand Hai,
Jawaab Khud Ho Phir Bhi Sawaal Karte Ho.

Tumhe Bhi Azmaa Kar Dekh Leta Hun

Tum Aaye Ho Tumhe Bhi Azmaa Kar Dekh Leta Hun,
Tumhare Saath Bhi Kuchh Door Jaa Kar Dekh Leta Hun,

Hawaayein Jin Ki Andhi Khidkiyon Par Sar Patakti Hain,
Main Unn Kamron Mein Phir Shamayein Jala Kar Dekh Leta Hun,

Ajab Kya Iss Qareene Se Koi Soorat Nikal Aaye,
Teri Baaton Ko Khwaabon Se Mila Kar Dekh Leta Hun,

Sehar Dum Kirchiyan Toote Hue Khwaabon Ki Milti Hain,
To Bistar Jhaad Kar Chaadar Hata Kar Dekh Leta Hun,

Bahut Dil Ko Dukhata Hai Jab Dard-E-Mahjoori
Teri Yaadon Ki Jaanib Muskura Ke Dekh Leta Hun,

Udaa Kar Rang Kuchh Honthon Se, Kuchh Aankhon Se, Kuchh Dil Se
Gaye Lamhon Ko Tasweeren Bana Kar Dekh Leta Hun,

Nahi Ho Tum Bhi Wo Ab, Mujh Se Yaaro Kya Chhupaoge,
Hawa Ki Simt Ko Mitti Udaa Kar Dekh Leta Hun,

Suna Hai Be-Niyaazi Hi Ilaaz-E-Naumeedi Hai,
Ye Nuskha Bhi Kisi Din Aazmaa Kar Dekh Leta Hun,

Mohabbat Marr Gayi “Mushtaaq” Lekin Tum Na Maanoge,
Main Ye Afwaah Bhi Tum Ko Suna Kar Dekh Leta Hun.

Dard-E-Mahjoori = Pain Of Sepration

By Mushtaaq

Sohna Ek Na Rahe Jahaan Utte

Posted: 29 Jan 2014 08:15 PM PST

Sohneya Nu Rabba Ve Tu Mout Devi,
Sohna Ek Na Rahe Jahaan Utte,

Koi Subha Mare, Koi Shaam Mare,
Mela Lagya Rahe Kabristan Utte,

Us Din Hove Shehar Band Sara,
Kaffan Mile Na Kise Dukaan Utte,

Keshav Verma” Kehnda Sun Mareya Saiyan,
Sohna Ek Na Rahe Jahaan Utte.

0 comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.

Design by Ashraf Shaikh | Developed Template by www.facebook.com/ashaikh43