Showing posts with label Urdu Roman Shairy. Show all posts
Showing posts with label Urdu Roman Shairy. Show all posts

Dil mein ek laher si utthi hai abhi








Koi taaza hawa chali hai abhi


Dil mein ek laher si utthi hai abhi




shor barpa hai khana-e-dil mein


koi deewar si giri hai abhi


koi taza hawa chali hai abhi


Dil mein ek laher si utthi hai abhi




kuchh to nazuk mizaaj hain hum bhi


aur ye chote bhi nayi hai abhi


koi taza hawa chali hai abhi


Dil mein ek laher si utthi hai abhi




yaad ke be-nishaan jazeeron se


teri awaaz aa rahi hai abhi


koi taza hawa chali hai abhi


Dil mein ek laher si utthi hai abhi




shehar ki be-charaagh galiyon mein


zindagi tujh ko dhoondti hai abhi


koi taza hawa chali hai abhi


Dil mein ek laher si utthi hai abhi




Koi Umeed Bar Nahi Ati


Koi Soorat Nazar Nahi Ati


Moat Ka Aik Din Mo-ayeeyan Hai


Neend Kyun Raat Bar Nahi Ati


Agay Ati Thi Hal-e-Dil Pe Hansee


Ab Kisi Baat Per Nahi Ati


Jaanta Hoon Sawab-e-Teyat-o-Zohad


Per Tabiyaat Udher Nahi Ati


Hai Kuch Aisee Hai Baat Jo Chup Hoon


Warna Kiya Baat Ker Nahi Ati


Meri Aavaaz gar Nahin Aati




Daag-e-dil gar Nazar Nahin Aata


Boo bhi ae Chaaraa-gar Nahin Aati




Hum Wahan Hain Jahan say Hum Ko Bhi


Kuch Hamari Khabar Nahi Ati




Martay Hein Arzoo Mein Marnay Ki


Moat Ati Hai Per Nahi Ati




Kaba Kis Moun say Jao Gay Ghalib


Sharam Tum Ko Magar Nahi Ati


chupaye dil mein gamon ka jahan baithe hain


tumhari bazm mein ham bezaban baithe hain







ye aur bat k manzil pe ham pahunch na sake


magar ye kam hai k rahon ko chan baithe hain




fugan hai dard hai soz-o-firaq-o-dag-e-alam


abhi to ghar mein bahut mehrban baithe hain




ab aur gardish-e-taqdir kya satayegi


luta k ishq mein nam-o-nishan baithe hain




wo ek lafz-e-mohabbat hi dil ka dushman hai


jise shariat-e-ehsas man baithe hain




hai maikadon ki baharon se dosti 'Sagar'


baraye had-e-yaqin-o-guman baithe hain



Teri talash mein hum jab kabhi Nikalate hain


Ik ajanabi ke tarah raaste badalate hain


daraz ho gam-e-hijran ki hasil-e-hijran


wo hausalen hain jo aagosh-e-gam mein palte hain


Rava nahi hai gam-e-ishq is qadar bhi garur


Tere bagair bhi duniya ke kaam chalte hain


Kabhi jo had se badhi un ke yaad to samajhe


Ki un ke dil mein bhi kuch valvale machalate hain


Shab-e-firaq kuch aisi bhi teergi to nahi


kabhi kabhi sar-e-mizgane charag jalate hain


ab un ke gham se bhi maharum ho na jayein kabhi


wo janate hain ki is gham se dil bahalate hain






wafa ke khwab muhabbat ka aasara le ja


agar chala hai to jo kuch mujhe diya le ja


maqam-e-sud-o-ziyan aa gaya hai phir janan


ye zakhm mere sahi tir to utha le ja


yahi hai qismat-e-sahara yahi karam tera


ki bund bund ata kar ghata ghata le ja


gurur-e-dost se itna bhi dilshikasta na ho


phir uth ke samane daman-e-iltaja le ja


nadamaten hon to sar bar-e-dosh hota hai


'faraz' jan ke evaz aabaru bacha le ja



Wo gulfarosh kahan ab gulab kis se lun


nahi raha mera saqi sharab kis se lun


teri talash mein is umr-e-mustu'ar ke saal


jo rayegan gaye un ka hisab kis se lun


hayat khud hai saval aur khud javab apna


saval kis se karun main javab kis se lun


kisi ke naam jo mansub abhi nahi ke thi


main apni khoi hui wo kitab kis se lun


tumhare bad na dekhun tumhare jaison ko


to ye shabin ye umangen ye khwab kis se lun


nashakashi se bi le lun 'shaoor' aj magar


wo roz-e-abr-o-shab-e-mahatab kis se lun


ASHRAF SHAIKH



Powered by Blogger.

Design by Ashraf Shaikh | Developed Template by www.facebook.com/ashaikh43