Urdu Shairy By Ashraf Shaikh

Us Ki Aankhoon Main Nazar Aata Hai Saara Jahan Mujh Ko


Afsoos K Un Aankhoon Main Kabhi Khud Ko Nahi Daikha…!!!

Waqat-e-Rukhsat Ponchh Rha Tha Mere Anso Apne Anchal Se


Usko Gham Tha Itna Ke Woh Khud Roona Bhool Gya

Us Ki Aankhoon Main Nazar Aata Hai Saara Jahan Mujh Ko


Afsoos K Un Aankhoon Main Kabhi Khud Ko Nahi Daikha…!!!

Shayad Woh Apna Wajood Chhor Gaya Hai Meri Hasti Mein,


Yun Sote-Sote Jaag Jana Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi…

Kaisa Sitam Hai Apka Ye, Ke Rone Bhi Nahi Dete,


Kareeb Aate Nahi Aur Khud Se Juda Hone Bhi Nahi Dete.

Kadam Ruk Se Gaye Hain Phool Biktey Dekh Kar


Woh Aksar Kaha Krta Tha Muhabbat Phool Jaisi Hai

Na Koi Daikh Le Tuj Ko Meri Aankhon K Raste Se


Teri Masoom Si Sorat Chupaye Dil Mai Baitha Hon…..

Ishq Ne Seekh Hi Li Waqt Ki Taqseem K Ab..


Wo Mujhe Yaad To Aata Hai Magar Kaam K Baad…!‎

Unhe Ye Zidd Ki mujhe Dekhkar Kisi Ko Na Dekh
Mera Ye Shouk Ki Sabse Salaam Karaata Chalu…

Wo Shakhs 1 Choti Si Bat Pe Yu Rooth Ke Chal Dia..
Jaise Use Sadiyo Se Kisi Bahane Ki Talash Thi…..

Waqt Yaksaan Nhe Rehta Kabhi Sun Lo,
Khud Bhi Ro Padtey Hain Auron Ko Hansany Waly.

Mat Khao Qasmein Sari Zindagi Sath Nibhane Ki…….
Hum Ne Sanso Ko Bhi Juda Hote Dekha Hai………

Unke Sitam Ka Tha Asar,Ki Muskurana Bhool Gaye,
Sab Kuch Bhula Diya Dil Se,Pr Unhe Bhulana Bhool Gaye.

Unke Jane Ke Bad Aisi Udasi Chayi H A Dost
K Prinde B Mera Saher Chod Gye.

Jis Simt Bhi Dekhoun, Nazar Aata Hain Kay Tum Ho
Ae Jaan-E-Jahan,Yeh Koi Tumsa Hain Kay Tum Ho

Saans Ruk Ruk K Aa Rahi Hai Meri, Kuch Na Kuch Baat Hone Wali Hai,
Ya Bahut Door Ja Chuka Hai Koi. Ya Mulaqaat Hone Wali Hai…..

Meri Aankhen Bhi Mujhse Ek Din Yeh Keh Den Gi
Khuwab Uske Na Dekha Karo Hum Se Ab Roya Nahi Jata..

Kitna Dilchasp Hai Izhar e Mohabbat Us Ka
Apni Tasweer Saja Di Meri Tasweer K Sath

Qurbaan Jau Uss Shaks Ke Haatho Ki Lakiro Par…
Jisne Tujhe Maanga B Nhi Or Apna Bana Liya…

Kasam Tootay Hovay Dil Ki Tumhain Khud Se Juda Ker Kay
Jahan Tak Hum Ne Daikha Hay Wahaaan Tak Tum Nazer Aaye…!!!

Narm Narm Phoolo'n Ka Ras Nichor Leti Hain Wasi
Pathar K Dil Hote Hain Titliyon K Seene Main….

Yeh Sab Rastay Key Saathi Thy,Inhen Akhir Bicharna Tha
Chalo Ab Ghar Chalain Mohsin,Bhat Awargi Kar Li..

Meri Awargi Mie Kuch Dhakhal Tumhara Bhi Hai Mohsin
Tumhari Yad Ati Hai Tu Hame Ghar Acha Nahi Lagtaa

Jahan Pe Ishq Ki Sarhad Junoon Se Milti Hai
Waheen Pe Aa K Mile… Wo Agar Mohabbat Hai…..

Agar Maaloom Hota Ishq Yun Majboor Kar Day Gaa…,
Bohat Pehlay Hee Iss Aafat Sey Tauba Kar Chukay Hotay…!

Abhe Masroof Hon Kafi Kabhe Fursat Me Sochun Ga,
K Tuj Ko Yaad Rakhne Me Main Kya Kya Bhol Jata Hun…!

0 comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.

Design by Ashraf Shaikh | Developed Template by www.facebook.com/ashaikh43