Showing posts with label Urdu Shairy by Ashraf Shaikh (1). Show all posts
Showing posts with label Urdu Shairy by Ashraf Shaikh (1). Show all posts

Urdu Shairy by Ashraf Shaikh (1)

Teri Yaadain Bhi Tujh C Zalim Hain "Faraz"
Jb Dekhti Hain Tanha Hmay Satanay Chali Ati Hain ..!!

Haye Adab-e-Muhabbat Kay Taqazey Sagar…
Lub Hilley Aur Shikayaat Nay Dam Tor Diya .. .?

Woh Samajhta Hai K Har Shakhs BadaL Jata Hai
Usay Lagta Hai Zamana Us Kay Jaisa Hai..!!

Dil To Kia Cheez Hai Hum Rooh Mien Otrey Hote…
Tumne Chaha He Nahin Chahney Walon Ki Tarah….

Hum To Moujood Thy Andheron Main Ujalon Ki Tarha
Tum Ne Chaha Hi Nahi Chahny Walon Ki Tarha

Kuch Zakhm Sadiyoun Baad Bhi Taaza Rehte Hai
Waqt Ke Paas Bhi Har Marz Ki Dawa Nahi Hoti..

Tu Dekh Ya Na Dekh, Tere Dekhne Ka Gham Nahi,
Par Teri Ye Na Dekhne Ki Ada Dekhne Se Kam Nahi..!

Tumhein Meri Mohabbat Ki Kasam Sach Sach Bata Dena..
Gale Main Daal Kar Baahain, Manana Kiss se Seekha Hai

Kitne Aansoo Baha Diye Hain Is 4 Din Ki Mohabbat Main
Kash Sajde Main Bahate To Aaj Gunaho Se Pak Hote

Isi Karz Ko Ada Krne K Wasty Hum Saari Raat Nahi Sote
K Shayad Koi Jaag Raha Ho Is Duniya Main Mere Liye

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi

Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
Qadam mila ke jo hamare saath aap chali

Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai

Ajab Tamasha Hai Matti Se Bane Logon Ka…..
Bewafai Karo To Rote Hain, Agar Wafa Karo To Rulate Hain

Mohabbat Koi Nasha Nahi, Ye Zindagi Ki Zaroorat Hai,
Her Lamha Humsab Ko, Ek Sathi Ki Zaroort Hai.

Ab Maayos Q Ho Us Ki Bewafai Pe Dost?
Tum Khud Hi To Kehte The K Wo Sab Se Juda Hai..

Mujhe To Ujaad Diya Uski Bewafa Mohabbat Ne
Varna Hum Bhi Khilkhikati Bahar The Kabhi.

Youn Na Khaich Apni Taraf Mujhe Be-Bas Kr K
K Khud Se Bhi Bichar Jao,Or Tu Bhi Na Mile .

Mana K Majburi Thi, Fasla Bahut Tha Bhut Doori Thi,
Kbhi Sochta Hun Bewafa Hain Wo,Kbhi Sochta Hun Mari Lakeeren He Adhoori Thi…
Powered by Blogger.

Design by Ashraf Shaikh | Developed Template by www.facebook.com/ashaikh43